Ertugrul Gazi Ek Bahadur Janju Part 2

 



Jaise ke hmlog part one mein padhe the Ertugrul or unka Qabila Anatolia ke liye hijrat krte hai mangol se ladne ke liye raste mein unka Qabila ek caravan sarai mein araam krta h toh Ertugrul or Halima Thora dur jaate h akele mein waqt bitaane tabhi mangol uss caravan sarai pe hamla kr deta hai or bahot se logo ko maar deta h or pura saman lut leta h yaha Ertugrul ko Halima jaise hi bolti hai wo maa banne wali utna mein Noyan ka chela Tangut apna sipahi ke sath hamla kr deta h magar Ertugrul Halima ko nikal ne kamyab hojata h magar Ertugrul pakra jata h yaha Ertugrul ka Walida apna zakmi Qabila leke apne bhai ka Dodurga Qabila jati hai or sara baat apne bhai Korkut ko batati hai jo Dodurga ka Qabila ka Sardar rehte hai.


Utna mein Halima akele Qabila aati hai or sabko batati h ki kaise mangol Ertugrul or uspe hamla krta hai tabhi Korkut sardar apna beta ko hukum deta h ki Gundogdu ke sath milke Ertugrul ko khoje. Yaha Ertugrul ka mulakat Noyan se hota wo Ertugrul ke samne bahot se log ko zinda jala deta h or ussi mein Ertugrul ka anguthi daal deta h jisse sab ko lage ke Ertugrul ko jala keaar diya gaya or Ertugrul ko leke apna thikana pe chala jata h yaha Gundogdu or tugtekin ussi jaga pe pahuchte or dekhte hai waha Ertugrul ka anguthi milta h unko lagta h Ertugrul maar gaya h or wo Qabila Jake sabko bata dete h yaha Noyan Ertugrul pe bahot julm krta hai ki wo uske sath mil jaye magar Ertugrul imaan ka pakka rehte h toh kehta h Allah ke raste mein shaheed hojayega magar usse hath nhi milayega yaha  dono qabayel mein jarga baith ta h or tugtekin ko Sippa saalar bana diya jata hai yaha Noyan apna Jasos se milne jata tabhi Ertugrul yaha se farar hojata h or ek dmi jiska naam Gayekeli h usse mila jakhmi halat or wo Ertugrul ka ilaz krta h fir Ertugrul Qabila jata h sabko sach bata ta hai or kehte h ki hmlog sultan Alauddin ka intezar nhi krna chahiye or Noyan pe hamla kr dena chahiye warna hm pr hmla kr dega magar unka baat koi nhi sunta h magar Ertugrul thaan leta hai wo Noyan ko chorega nhi or Ibnul Arabi se milta or wo uss sandok se kapra nikal kr Ertugrul ko pehnate h fir Ertugrul sultan ke jasus Sungurtekin se milta h jo mangol ke yaha kaam krke sara information sultan Alauddin tak pahuchata tha or fir Ertugrul apna Qabila or apna mamu ke Qabila ke sath milke Noyan ko sikasth de deta h or Ertugrul ko safed Dari wale bulate hai or kehte hai ki ap apna Qabila ko leke Byzantine border ke pass apna Qabila abaad krye yaha Noyan ka sir jaise kalam hone wala rehta sultan ka Emir Sadetdin kopek bacha leta or wo under hi under sazish krta h Noyan ka sath milke sultan ko maar kr khud sultan banne chahta. Yaha Qabila mein Korkut ki dusri  biwi uska bhai or uski beti ye tino milke sazish krte h or sardar banne ki koshish krte h kopek ke sath milke magar Ertugrul is mansube ko nakaam yaab krta h or Gumustekin ko maar deta hai or aytolan ko uski Walida maar deti hai or uski beti bhag jati h or Noyan se mil jati hai jab tak late hojata h or Ertugrul ka mama mara jata h kuch din baad Noyan ata h or tugtekin or uski biwi ko maar deta hai.  Ertugrul Noyan or Kopek  ke mansuba ko nakaam yaab krta h or firse Noyan ko sikasth deta h or sultan ke pass leke jata hai ki wo sab bolde Sadetdin kopek ke baare mein tabhi raste mein Noyan maara jata h or Sadetdin bach jata h tab Ertugrul apna Qabila ata hai or sabko Byzantine Border ke pass hijrat krne ko kehta h toh koi nhi manta toh Ertugrul kehta h koi jaye chahe Na Jaye wo jayega tabhi Gundogdu kehte h apna Walida se ki ab waqt a agaya h kayi sardar chunne ka usse pehle uska Walida hayma sardar thi. Kopek yaha chal chalta h wo nhi chahta ki kayi Byzantine border ke pass hijrat kare isliye wo Gundogdu ko sona ka sikka deta h or kehta hai ki sardaaran ko kharid le or khud sardar banjaye thk aisa hi hota hai or Gundogdu sardar ban jata h magar Ertugrul apna Faisla pe ara rehta h or uske sath bahot se log Ertugrul ke sath jane lagte hai Ertugrul sabke sath Byzantine border ke liye hijrat krta hai magar raste mein kopek ke log hamla krte hai is hamle mein Halima ka bhai Qatal hojata hai yaha Ertugrul apne Qabila ke sath Byzantine border pe hijrat krta hai. Baaki ki story part 3 mein


                               Author Adnan Hasnain

Post a Comment

0 Comments