Ertugrul Gazi ek Bahadur Janju Part 1


Aj hmlog uss admi ki kahani padhne jare h jiska series pura duniya bhar mein mashur ho chuka h log series ka naam h Dirilis Ertugrul ye series new naye naye record banaye h Ertugrul Gazi wo h jisne Ottoman Empire ka buniyad rakha tha unhi ke bete Osman Gazi ne apne naam se  Saltanat Osmania khara kiya tha jise log aj Ottoman Empire ke naam se jante h jo 3 barre azam tak qayam tha 1922 mein Ottoman Empire khatam hua. Aj hmlog unhi ke Baba Ertugrul Gazi ke baare mein likhte h toh shuru krte h. Ertugrul Gazi Kayi Qabila ka sardar Suleyman Shaw ka beta tha Ertugrul ke 3 or Bhai bhi the Gundogdu, Sungurtekin, Dundar. Inka qabila mongol se bhag kr aake saljuk Saltanat ke mein abaad hua us waqt saljuk  takht pe Sultan Allauddin Keykubad Baithe the unhi ne Kayi Qabila yaha rehne ka jaga diya. Kayi Qabila ek Janju Qabila iss Qabila ka Janju bahot bahadur hote the. Ek din Ertugrul apne sipahe ke sath sikaar padh ja raha tha or usse jungle mein 3 Qaidi dikhe jisse Salebi Saljuk ke commander Karatoygar jo ke gaddar tha wo Salebi ka Ghulam tha unko dene jare the jisse karatoygar sultan ka nazar mein or acha ban sake isliye ye Qaidi usse dene jare the magar uthna mein wo Qaidi bhagne lage or fir Salebi Sipahi usse pakar Liye jaise hi ye sab Ertugrul ne dekha usne foran Salebi pe apna sipahi ke sath  hmla krdiya or  unhe maar diya jisme Salebi Commander Titus ka bhai bhi Qatal hogaya unsabko maar kr un qaidiyon ko apna Qabila le aya un qaidiyon mein 1 budha admi tha jiska naam Noman tha or ek bacha tha jiska naam yigit tha  or ek ladki thi  us ladki ka naam Halima tha usse Ertugrul ko mohabbat hogaya tha Baad mein kayi wale ko pata chala ki ye Sab saljuk ke shehzada or shehzadi h. Kayi Qabila jaha padhi tha waha padhi pani khatam hogaya tha or sardi bhi hogaya tha waha rehna mushkil hora tha toh Ertugrul ke bhai Gundogdu ne apna Walid Suleyman Shaw ko   Halep hijrat krne ka su jao diya or kaha Al Aziz Salebi se ladne ke liye fouj taiyar kr raha h agr hmlog unhe kahe ke ap hame jameen dijiye or badle mein unhe apna Janju deange ye usne apne Walid ko kaha or  Suleyman Shaw ne Ertugrul ko apna elchi bana kr Halep rawana kiya us waqt Halep ka Sultan Salahuddin Ayubi ka pota Al Aziz Takht pe baitha tha. Ertugrul Halep ke liye rawana hua yaha Titus ko jab pata chala toh wo Ertugrul or Kayi se badla lene ka sazish krne laga or Halep ke raste pe Ertugrul pe hamla bhi hua magar Ertugrul bahot bahadur tha usne unhe maar diya raste mein unka mulakat Ibnnul Arabi se huyi jo ke bahot bade aalim the or Halep jare the Wo log sath mein Halep pahuche fir Ertugrul ne Mahel mein Halep ke Emir Sahabuddin ke samne ye prastao rakha jo uske bhai ne kaha tha magar Sahabuddin nhi mana fir Ertugrul ne apne bahaduri dekhaya uske 8 sipahi ko akele mara ye dekh kr Al Aziz khush hua or usse raat ko khane ke dawat mein shamil hone ko kaha. Ertugrul or uske sipahi naha rahe the ussi waqt unke hathiyar Al Aziz ne churwa liye or jab Ertugrul khane pe gaya toh wo hath yar dekhaya ye sab dekh Ertugrul sharminda hua fir wo log aake sogaye. Magar Titus or Salebi puri trah se Halep ko apna gadh bana liye the or Nasir jo ke Al Aziz ka khas tha wo asal mein Salebi jasus tha or raat usne mahel mein jaha Ertugrul sora tha waha pe hamla kia magar Ertugrul bach gaya . Subah Titus ne Nasir ko kaha ke Al Aziz ko kehke Ertugrul or uske Qabila ko Salebi kela ke duri pe jagah dedo Or Nasir ne aisa hi kiya or Ertugrul ko uske Qabila ke liye jagah mil gaya. Ertugrul Qabila aya apne sardar se kaha ke Al Aziz ne unhe jamen de diya h or yaha Salebi ka sabse bada Commander Ustad A Azam jo ki chahta tha ki seljuki saltanat  khatam hojaye usse jab pata chala ki kayi unke kila ka nazdik hi apna Qabila banayege toh usne fouran Titus ko bola ki unhe kisi bhi trah uske jaga pe aane se roko or usne apne admiyo ko dawa diya or kaha ki kayi Qabila jaake unke maawesi or unke logon ke khane mein mila deane or usne waise hi kiya magar uska admi milate huye pakra gaya Or Suleyman Shaw ne sara maawesi ko jalwa diya or khana fekwa diya magar ek maawesi bach gaya or ussi raat Suleyman Shaw ka tbyt kharab hogaya jiske wajah se Ertugrul ko harikshat pat leke Halep jane padha or Ertugrul un shehzadi or shehzado ke sath Halep gaya raste mein titus hmla krta or usme halima sultan jakhme hojati h or yaha jab tak kayi Qabila mein waba fayel gaya tha or yaha Ertugrul ka chahcha kurtoglu ne Titus se hath mila liya tha or Qabila mein sazish kr raha tha sarsari ke liye. Halep ke mahel mein Salebi sazish krke Emir shahbuddin ke fasa deta or Qaidi bana leta or fasi ka hukum de deta h Al Aziz Salebiyo ka sazish mein aake ye sab kiya. Yaha Ertugrul ko jo jamen mila tha usse bhi cancel krdiya Ertugrul janta tha agr iss sar jameen mein rehna h toh Sahabuddin ko bachana hoga or usne usse bachaya magar yaha shehzada apne beti halima ko leke mahel elaz krwata h jisme Al Aziz ko Halima se mohabbat hojata h yaha Nasir or Titus sazish ka taiyari krte ayubi or seljuki ka larayi ka agr Al Aziz Halima se shaadi karega toh Alauddin hone nhi dega dono Saltanatke bech jang chir jayega. Al Aziz Shehzada se kehta h ki wo Halima se nikah ka khawahish mann h or shehzada ko ye parastao deta agr ye shaadi hota toh wo uska sath dega Alauddin ka takht palatne mein or shehzada Noman Raazi hojata h magar Halima Ertugrul se ko pasand krti h toh wo Al Aziz ke pass prastao rakhti h agr wo uska bhai Salebiyo ke pass se le ayega tab hi shaadi karegi or Titus uss Shehzada yigit ko le ata or fir dono ka nikah taiyari hota h or yaha Ertugrul ko jab pata chalta h toh kuch smjh nhi ata h usse kya kare magar Ibnnul Arabi usse hosla dete h or yaha kayi Qabila waha abad hojata h jo jamen Al Aziz deta h toh Al Aziz gussa hojata or jung ka alaan kr deta h or Ertugrul iss sazish ko naqam krne or Halima ka shaadi rukane ke liye yaha Halima Nikah ka waqt shaadi se inkar kr deti h. Al Aziz ko gussa ata h magar wo pyar ke wajah se kuch nhi krta h Ertugrul ko pakadne ke liye shikar pe Halima ke sath jata h or yaha Titus apne admi ko Al Aziz ke sath bhejta agr Al Aziz Ertugrul ko na maare toh wo log un dono ko maar de thk ussi mein Ertugrul pakra jata h or Al Aziz kehta ke mera chacha shahbuddin wo mera hawale karo warna maar deange Ertugrul mana krta h or yaha fasi dene hi jata toh Ertugrul or Halima pyar bhari baatein krte h ye sab sun kr Al Aziz ne marne se mana krdiya magar uske sipahi uske baat na mane kyu ki wo log Salebi the itna mein Ertugrul ke sipahi ajata h or fir wo log Salebi ko maar dete h fir Al Aziz ke samne Sara sach ajata or wo sabse maafi mangta h or apne chacha Ko Emir ka manshab sambhal ne ke liye wapas se kehta h or waha Ertugrul apna Qabila mein Nasir ka sar qalam krdeta h or yaha Titus mahel mein Jake Shahabuddin ka sir kaat deta h or sir ko Ertugrul ke Qabila bhej deta h or yaha Titus Ertugrul ke chacha kurtoglu ke sath milke. Qabila mein sazish krta h Magar Ertugrul iss sazish ko nakam krta or apna chacha ka sar qalam kr deta h or yaha usdad azam Ertugrul ke piche rehta h Ibnnul Arabi ka sandok lene ke liye magar sandok Ibnnul Arabi ne Ertugrul ko rakhne ke liye diya tha. Yaha kurtoglu ke marne ke baad Suleyman Shaw ne Ertugrul ko Sippa salar bana diya. Ertugrul ne Suleyman Shaw ke hukum padh Salebi ka Qila par hamla kr deta h or usse Fateh kr leta h jisme usdad a azam mara jata h or Titus bhag jata h fateh krne ke baad uss Qila ko pura trah jala deta h fir Ertugrul ka shaadi Halima sultan se hota fir unka mulakat Safed Dari wale se hota h wo log Ertugrul ko kehte h ki mongol Anatolia chahayi kr raha toh ap apna Qabila ke sath Anatolia hijrat krye ye baat Ertugrul apne Walid ko kehta h or Oguz qabayel ke samne Suleyman Shaw ye parastao rakhte h ki mongol Anatolia pe chadhaye kr rahe h hame yaha hijrat krna chahiye jisme Ertugrul ke mama Korkut sardar Suleyman ka sath dete h or kehte hi hm apna Qabila ka sath Anatolia hijrat karenge rasta mein sulayman Shaw ki maut hojata h or jab sab Qabila ate h or kehte h ki Sulayman Shaw ne Anatolia jane ka faisla liya tha toh sab taiyari mein lag jate h magar Gundogdu is faisle se khush nhi hota magar fir bhi usse jana padhta h kyu ki ye uske Walid or Sardar ka akhiri faisla tha 




                                                   To be Continued

Author by Adnan 

Post a Comment

0 Comments